Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Liyaqat Ali Aasim

  • Ghazal


tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi


tū na thā terī tamannā dekhne kī chiiz thī
dil na maanā varna duniyā dekhne kī chiiz thī

kyā ḳhabar mere junūñ ko shahr kyuuñ raas aa gayā
aise aalam meñ to sahrā dekhne kī chiiz thī

tum ko ai āñkho kahāñ rakhtā maiñ kunj-e-ḳhvāb meñ
husn thā aur husn tanhā dekhne kī chiiz thī

lams kī lau meñ pighaltā hujra-e-zāt-o-sifāt
tum bhī hote to añdherā dekhne kī chiiz thī

aa gayā mere makāñ tak aur aa kar rah gayā
bārishoñ ke ba.ad dariyā dekhne kī chiiz thī

dhuup kahtī hī rahī maiñ dhuup huuñ maiñ dhuup huuñ
apne saa.e par bharosā dekhne kī chiiz thī

shaam ke saa.e meñ jaise peḌ kā saayā mile
mere miTne kā tamāshā dekhne kī chiiz thī

tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi
dil na mana warna duniya dekhne ki chiz thi

kya KHabar mere junun ko shahr kyun ras aa gaya
aise aalam mein to sahra dekhne ki chiz thi

tum ko ai aankho kahan rakhta main kunj-e-KHwab mein
husn tha aur husn tanha dekhne ki chiz thi

lams ki lau mein pighalta hujra-e-zat-o-sifat
tum bhi hote to andhera dekhne ki chiz thi

aa gaya mere makan tak aur aa kar rah gaya
barishon ke baad dariya dekhne ki chiz thi

dhup kahti hi rahi main dhup hun main dhup hun
apne sae par bharosa dekhne ki chiz thi

sham ke sae mein jaise peD ka saya mile
mere miTne ka tamasha dekhne ki chiz thi


Source: Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 617) Author : Naseer Ahmed Nasir Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011) Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011

Leave a comment

+