mirā mahbūb sab kā man haran hai
nazar kar dekh vo aahū nain hai
nahīñ ab jag meñ vaisā aur sājan
mujhe sūrat-shanāsī biich fan hai
sabī dīvāne haiñ us mah-laqā ke
magar vo dil-rubā jaadū nayan hai
kare rashk-e-gulistāñ dil ko 'fā.ez'
mirā sājan bahār-e-anjuman hai
mera mahbub sab ka man haran hai
nazar kar dekh wo aahu nain hai
nahin ab jag mein waisa aur sajan
mujhe surat-shanasi bich fan hai
sabi diwane hain us mah-laqa ke
magar wo dil-ruba jadu nayan hai
kare rashk-e-gulistan dil ko 'faez'
mera sajan bahaar-e-anjuman hai
Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 49) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Leave a comment