Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hajra Noor Zaryab

  • Ghazal


uTThe kahin se dard-e-jigar tumko is se kya


uTThe kahīñ se dard-e-jigar tum ko is se kyā
lete nahīñ ho merī ḳhabar tum ko is se kyā

do hī qadam chalī thī paḌe chhāle paañv meñ
ġham se hai chuur zauq-e-safar tum ko is se kyā

hālāt ne hañsī mire hoñToñ se chhīn lī
rotī huuñ ab maiñ shām-o-sahar tum ko is se kyā

kāġhaz kā phuul chhū luuñ to vo bhī mahak uThe
dekho na tum jo dast-e-hunar tum ko is se kyā

dekho na mujh ko hañs ke zamāna ḳharāb hai
rusvā.ī kā hai mujh ko bhī Dar tum ko is se kyā

manzil pukārtī hai chale aao jald tum
hai ūñchī nīchī tirchhī Dagar tum ko is se kyā

'zaryāb' se ye tum ne kahā chāhtā huuñ maiñ
patthar sī ho ga.ī hai nazar tum ko is se kyā

uTThe kahin se dard-e-jigar tum ko is se kya
lete nahin ho meri KHabar tum ko is se kya

do hi qadam chali thi paDe chhaale panw mein
gham se hai chur zauq-e-safar tum ko is se kya

haalat ne hansi mere honTon se chhin li
roti hun ab main sham-o-sahar tum ko is se kya

kaghaz ka phul chhu lun to wo bhi mahak uThe
dekho na tum jo dast-e-hunar tum ko is se kya

dekho na mujh ko hans ke zamana KHarab hai
ruswai ka hai mujh ko bhi Dar tum ko is se kya

manzil pukarti hai chale aao jald tum
hai unchi nichi tirchhi Dagar tum ko is se kya

'zaryab' se ye tum ne kaha chahta hun main
patthar si ho gai hai nazar tum ko is se kya


Leave a comment

+