Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Ahmad khatak

  • Ghazal


mere mathe pe likho baKHt se haara hua hai


mere māthe pe likho baḳht se haarā huā hai
ik zabardast zabardast se haarā huā hai

hārte hārte sab haar gayā ishq meñ maiñ
sab samajhte haiñ magar dasht se haarā huā hai

dekhnā chāhtā hai peḌ pe phalte hue phuul
ek pattā jo tire taḳht se haarā huā hai

ab jo hijrāñ meñ mujhe detā hai tāvīleñ bahut
zehn vo jo dil-e-kam-baḳht se haarā huā hai

dasht-e-imkān khulā mujh pe to ma.alūm paḌā
har koī dil ke dar-o-bast se haarā huā hai

maiñ samajhtā huuñ zamāne kā ishāra 'ahmad'
aur yahāñ kaun hai jo dasht se haarā huā hai

mere mathe pe likho baKHt se haara hua hai
ek zabardast zabardast se haara hua hai

haarte haarte sab haar gaya ishq mein main
sab samajhte hain magar dasht se haara hua hai

dekhna chahta hai peD pe phalte hue phul
ek patta jo tere taKHt se haara hua hai

ab jo hijran mein mujhe deta hai tawilen bahut
zehn wo jo dil-e-kam-baKHt se haara hua hai

dasht-e-imkan khula mujh pe to malum paDa
har koi dil ke dar-o-bast se haara hua hai

main samajhta hun zamane ka ishaara 'ahmad'
aur yahan kaun hai jo dasht se haara hua hai


Leave a comment

+