Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naheed Virk

  • Ghazal


azab-e-hijr se anjaan thoDi hota hai


azāb-e-hijr se anjān thoḌī hotā hai
ye dil ab itnā bhī nādān thoḌī hotā hai

ye zindagī hai bahut kuchh yahāñ pe mumkin hai
ki kuchh na hone kā imkān thoḌī hotā hai

ye dil ke zaḳhm chhupā kar jo muskurāte haiñ
to mere dost ye āsān thoḌī hotā hai

kabhī-kabhār to bid.at bhī ho hī jaatī hai
har ek lamha tirā dhyān thoḌī hotā hai

vo jis ke paas mohabbat bhī ho, vafā bhī ho
bhalā vo be-sar-o-sāmān thoḌī hotā hai

tirī vafā meñ kamī kuchh to aa.ī hai ki ye dil
bilā-javāz pareshān thoḌī hotā hai

idhar udhar se dalīleñ uThānī paḌ jaa.eñ
jo itnā kachchā ho, īmān thoḌī hotā hai

azab-e-hijr se anjaan thoDi hota hai
ye dil ab itna bhi nadan thoDi hota hai

ye zindagi hai bahut kuchh yahan pe mumkin hai
ki kuchh na hone ka imkan thoDi hota hai

ye dil ke zaKHm chhupa kar jo muskuraate hain
to mere dost ye aasan thoDi hota hai

kabhi-kabhaar to bidat bhi ho hi jati hai
har ek lamha tera dhyan thoDi hota hai

wo jis ke pas mohabbat bhi ho, wafa bhi ho
bhala wo be-sar-o-saman thoDi hota hai

teri wafa mein kami kuchh to aai hai ki ye dil
bila-jawaz pareshan thoDi hota hai

idhar udhar se dalilen uThani paD jaen
jo itna kachcha ho, iman thoDi hota hai


Source: Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 205) Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990) Edition : 1990

Leave a comment

+