raunaq-e-dāman-e-sad-chāk kahāñ se laa.eñ
shahr meñ dasht kī poshāk kahāñ se laa.eñ
hālat-e-jazb meñ idrāk kahāñ se laa.eñ
zahr ke vāste tiryāk kahāñ se laa.eñ
gard-hā-e-ḳhas-o-ḳhāshāk kahāñ se laa.eñ
is qadar gardish-e-aflāk kahāñ se laa.eñ
paanī le aa.e haiñ ab ek na.ī uljhan hai
kūza-gar tere liye ḳhaak kahāñ se laa.eñ
chehrā-mohrā to bahar-hāl damak hī legā
tābish-e-chashma-e-nam-nāk kahāñ se laa.eñ
tujh ko bilkul nahīñ ehsās-e-hunar ai dariyā
ab tire vāste tairāk kahāñ se laa.eñ
ḳhāk-zāde haiñ so bas ek hī rañgat hai nasīb
ḳhud meñ sad-rañgī-e-aflāk kahāñ se laa.eñ
ham bhī jī bhar ke tujhe koste phirte lekin
ham tirā lahja-e-be-bāk kahāñ se laa.eñ
raunaq-e-daman-e-sad-chaak kahan se laen
shahr mein dasht ki poshak kahan se laen
haalat-e-jazb mein idrak kahan se laen
zahr ke waste tiryak kahan se laen
gard-ha-e-KHas-o-KHashak kahan se laen
is qadar gardish-e-aflak kahan se laen
pani le aae hain ab ek nai uljhan hai
kuza-gar tere liye KHak kahan se laen
chehra-mohra to bahar-haal damak hi lega
tabish-e-chashma-e-nam-nak kahan se laen
tujh ko bilkul nahin ehsas-e-hunar ai dariya
ab tere waste tairak kahan se laen
KHak-zade hain so bas ek hi rangat hai nasib
KHud mein sad-rangi-e-aflak kahan se laen
hum bhi ji bhar ke tujhe koste phirte lekin
hum tera lahja-e-be-bak kahan se laen
Leave a comment