Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zahid Masood

  • Ghazal


ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein


ajab kyā hai rahe us paar bahte jugnuoñ kī raushnī tahlīl kī zad meñ
havā-e-be-vatan rakh le tulū-e-mahr kā ik zā.icha zambīl kī zad meñ

ġham-e-be-chehragī kā aks thā jis ne vajūd-e-sañg ko mab.hūt kar Daalā
tarāshīñ silvaTeñ jūñhī ḳhad-o-ḳhāl-e-tahayyur aa ga.e tashkīl kī zad meñ

shab-e-va.ada fasīl-e-hijr se aage chamaktā hai tirā ism-e-sitāra-jū
ki jaise koī paivand-e-ridā-e-sub.h aa jaa.e kisī qindīl kī zad meñ

tamāshā.ī darīche meñ thiraktī surḳh ā.ankhoñ ke tilism-e-ḳhvāb meñ gum haiñ
magar sahmī huī kaTh-putliyoñ kī zindagī hai āḳhirī tamsīl kī zad meñ

mire naame tahī-mazmūn sahī phir bhī tirī lauh-e-muqaffal kī amānat haiñ
kabhī to aa.egī shakl-e-hurūf-e-nā-farastāda ḳhat-e-tāvīl kī zad meñ

ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein
hawa-e-be-watan rakh le tulu-e-mahr ka ek zaicha zambil ki zad mein

gham-e-be-chehragi ka aks tha jis ne wajud-e-sang ko mabhut kar Dala
tarashin silwaTen junhi KHad-o-KHal-e-tahayyur aa gae tashkil ki zad mein

shab-e-wada fasil-e-hijr se aage chamakta hai tera ism-e-sitara-ju
ki jaise koi paiwand-e-rida-e-subh aa jae kisi qindil ki zad mein

tamashai dariche mein thirakti surKH aaankhon ke tilism-e-KHwab mein gum hain
magar sahmi hui kaTh-putliyon ki zindagi hai aaKHiri tamsil ki zad mein

mere name tahi-mazmun sahi phir bhi teri lauh-e-muqaffal ki amanat hain
kabhi to aaegi shakl-e-huruf-e-na-farastada KHat-e-tawil ki zad mein


Leave a comment

+