vahshateñ phailī haiñ har sū do-jahāñ ḳhāmosh hai
hai zamīñ girya-kunāñ aur āsmāñ ḳhāmosh hai
beTiyoñ ke maan honā chāhiye apmān hai
dekh kar sab kuchh bhī ye hindostāñ ḳhāmosh hai
zulmatoñ kī aañch se jhulse ġharīboñ ke hī ghar
aag baḌhtī jā rahī hai aur dhuāñ ḳhāmosh hai
thā chaman gulzār pahle ab hai ujḌī vādiyāñ
ho gayā barbād gulshan bāġhbāñ ḳhāmosh hai
jānte to haiñ yahāñ sab hī siyāsat ke fareb
kyā ḳhabar kis maslahat se har zabāñ ḳhāmosh hai
wahshaten phaili hain har su do-jahan KHamosh hai
hai zamin girya-kunan aur aasman KHamosh hai
beTiyon ke man hona chahiye apman hai
dekh kar sab kuchh bhi ye hindostan KHamosh hai
zulmaton ki aanch se jhulse gharibon ke hi ghar
aag baDhti ja rahi hai aur dhuan KHamosh hai
tha chaman gulzar pahle ab hai ujDi wadiyan
ho gaya barbaad gulshan baghban KHamosh hai
jaante to hain yahan sab hi siyasat ke fareb
kya KHabar kis maslahat se har zaban KHamosh hai
Leave a comment