Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadim Nadeem

  • Ghazal


tumhaare jaane ka hum ko malal thoDi hai


tumhāre jaane kā ham ko malāl thoḌī hai
udāsiyoñ meñ tumhārā ḳhayāl thoḌī hai

manā.ūñ kis tarah holī maiñ dostoñ ke saath
haiñ sab ke haath meñ ḳhanjar gulāl thoḌī hai

mujhe ye ġham hai vo ab saath hai raqīboñ ke
ye aañkh us ke bichhaḌne se laal thoḌī hai

savāl ye hai havā aa.ī kis ishāre par
charāġh kis ke bujhe ye savāl thoḌī hai

karam hai us kā agar vo navāztā hai hameñ
hamāre sajdoñ kā is meñ kamāl thoḌī hai

tumhaare jaane ka hum ko malal thoDi hai
udasiyon mein tumhaara KHayal thoDi hai

manaun kis tarah holi main doston ke sath
hain sab ke hath mein KHanjar gulal thoDi hai

mujhe ye gham hai wo ab sath hai raqibon ke
ye aankh us ke bichhaDne se lal thoDi hai

sawal ye hai hawa aai kis ishaare par
charagh kis ke bujhe ye sawal thoDi hai

karam hai us ka agar wo nawazta hai hamein
hamare sajdon ka is mein kamal thoDi hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+