hashr-e-zulmāt se dil Dartā hai
is ghanī raat se dil Dartā hai
barf-e-ehsās na gal jaa.e kahīñ
sail-e-auqāt se dil Dartā hai
tū bhī ai dost na ho jaa.e judā
ab har ik baat se dil Dartā hai
ye kaḌī dhuup dahaktā sūraj
saa.e ke saat se dil Dartā hai
haa.e vo reñgtī tanhā.ī jab
apnī hī zaat se dil Dartā hai
kaise dekheñge vo ujḌī āñkheñ
ab mulāqāt se dil Dartā hai
zaḳhm ho jā.eñge bāġhoñ ke hare
'shām' barsāt se dil Dartā hai
hashr-e-zulmat se dil Darta hai
is ghani raat se dil Darta hai
barf-e-ehsas na gal jae kahin
sail-e-auqat se dil Darta hai
tu bhi ai dost na ho jae juda
ab har ek baat se dil Darta hai
ye kaDi dhup dahakta suraj
sae ke sat se dil Darta hai
hae wo rengti tanhai jab
apni hi zat se dil Darta hai
kaise dekhenge wo ujDi aankhen
ab mulaqat se dil Darta hai
zaKHm ho jaenge baghon ke hare
'sham' barsat se dil Darta hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment