salīqa itnā to ai shauq-e-ḳhush-kalām aa.e
unhīñ kī baat ho lekin na un kā naam aa.e
ḳhirad bhī gosh-bar-āvāz-e-vaqt thī lekin
payām jitne bhī aa.e junūñ ke naam aa.e
na chal sakā koī merī nigāh-e-shauq ke saath
tumhāre jalve bhī aa.e to chand gaam aa.e
na jaane husn-e-haqīqat kī jalva-gāh se kyuuñ
fasāne jitne bhī aa.e vo nā-tamām aa.e
kisī ne sub.h sañvārī kisī ne shaam apnī
mirī nazar ke ujāle sabhoñ ke kaam aa.e
saliqa itna to ai shauq-e-KHush-kalam aae
unhin ki baat ho lekin na un ka nam aae
KHirad bhi gosh-bar-awaz-e-waqt thi lekin
payam jitne bhi aae junun ke nam aae
na chal saka koi meri nigah-e-shauq ke sath
tumhaare jalwe bhi aae to chand gam aae
na jaane husn-e-haqiqat ki jalwa-gah se kyun
fasane jitne bhi aae wo na-tamam aae
kisi ne subh sanwari kisi ne sham apni
meri nazar ke ujale sabhon ke kaam aae
Source:
Leave a comment