Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pratap Somvanshi

  • Ghazal


ram tumhaare yug ka rawan achchha tha


raam tumhāre yug kā rāvan achchhā thā
das ke das chehre sab bāhar rakhtā thā

dukh de kar hī chain kahāñ thā zālim ko
TuuT paḌā thā chehre par vo paḌhtā thā

shaam Dhale ye Tiis to bhītar uThtī hai
merā ḳhud se har ik va.ada jhūTā thā

ye bhī thā ki dil ko kitnā samjhā lo
baat ġhalat hotī thī to vo laḌtā thā

mere daur ko kuchh yuuñ likkhā jā.egā
raajā kā kirdār bahut hī baunā thā

ram tumhaare yug ka rawan achchha tha
das ke das chehre sab bahar rakhta tha

dukh de kar hi chain kahan tha zalim ko
TuT paDa tha chehre par wo paDhta tha

sham Dhale ye Tis to bhitar uThti hai
mera KHud se har ek wada jhuTa tha

ye bhi tha ki dil ko kitna samjha lo
baat ghalat hoti thi to wo laDta tha

mere daur ko kuchh yun likkha jaega
raja ka kirdar bahut hi bauna tha


Source: Book : Aiwan (Pg. 24) Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem Publication : Nirali Duniya (1998) Edition : 1998

Leave a comment

+