Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Bhabha

  • Ghazal


dil mubtala-e-hijr rifaqat mein rah gaya


dil mubtalā-e-hijr rifāqat meñ rah gayā
lagtā hai koī farq mohabbat meñ rah gayā

is ghar ke do makīn the ik peḌ aur maiñ
ye hijr to kisī kī sharārat meñ rah gayā

ik baar man.a kartī huī shaam se to pūchh
jo bhī judā huā vo haqīqat meñ rah gayā

mumkin thā tujh ko chhīn hī letā jahān se
lekin maiñ kyā karūñ maiñ mohabbat meñ rah gayā

ab tū hī merī ḳhālī hathelī kī laaj rakh
mujh se to koī farq ibādat meñ rah gayā

tujh par hai koī zo.am na ḳhud par yaqīñ 'nadīm'
kuchh din kā ham meñ pyaar to aadat meñ rah gayā

dil mubtala-e-hijr rifaqat mein rah gaya
lagta hai koi farq mohabbat mein rah gaya

is ghar ke do makin the ek peD aur main
ye hijr to kisi ki shararat mein rah gaya

ek bar mana karti hui sham se to puchh
jo bhi juda hua wo haqiqat mein rah gaya

mumkin tha tujh ko chhin hi leta jahan se
lekin main kya karun main mohabbat mein rah gaya

ab tu hi meri KHali hatheli ki laj rakh
mujh se to koi farq ibaadat mein rah gaya

tujh par hai koi zoam na KHud par yaqin 'nadim'
kuchh din ka hum mein pyar to aadat mein rah gaya


Leave a comment

+