Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gitesh Dube Geet

  • Ghazal


kash mujhse bhi raushni nikle


kaash mujh se bhī raushnī nikle
mere dāman se kuchh kamī nikle

āshiqī ho yā bandagī ke pal
apne lahje se shā.irī nikle

yuuñ bhī hotā hai dard kī had meñ
zard āñkhoñ se kuchh namī nikle

baat kuchh talḳh ho yā mīThī sī
is zabāñ se sahī sahī nikle

sāmne aap hoñ yahī ḳhvāhish
jism se jaan jab kabhī nikle

sirf muskān dil talak utrī
lafz un ke to kāġhzī nikle

kash mujh se bhi raushni nikle
mere daman se kuchh kami nikle

aashiqi ho ya bandagi ke pal
apne lahje se shairi nikle

yun bhi hota hai dard ki had mein
zard aankhon se kuchh nami nikle

baat kuchh talKH ho ya miThi si
is zaban se sahi sahi nikle

samne aap hon yahi KHwahish
jism se jaan jab kabhi nikle

sirf muskan dil talak utri
lafz un ke to kaghzi nikle


Source: Mashal-e-raah

Leave a comment

+