Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nami Ansari

  • Ghazal


mere KHayal se aage tera nishana paDa


mire ḳhayāl se aage tirā nishāna paḌā
samand-e-shauq pe ik aur tāziyāna paḌā

abhī to ishq o nazar ke hazār pahlū the
gale hamāre kahāñ se ġham-e-zamāna paḌā

parā.e nuur se maiñ kasb-e-faiz kyā kartā
asar paḌā hai kabhī kuchh to ġhā.ebāna paḌā

mujhe bhī qarz chukānā thā us kā ab ke baras
ġhalat nahīñ jo mirā dasht meñ Thikānā paḌā

kisī ke hisse meñ aa.ī ḳhirad kī saffākī
kisī ke haath ġham-e-ishq kā ḳhazāna paḌā

rahā na koī yahāñ sar-ba-sar tahī-dāman
sabhī ke zarf meñ maqdūr phir zamāna paḌā

hazār aañkh dikhāte rahe adū 'nāmī'
ġhazal ġhazal hī rahī farq ik zarā na paḌā

mere KHayal se aage tera nishana paDa
samand-e-shauq pe ek aur taziyana paDa

abhi to ishq o nazar ke hazar pahlu the
gale hamare kahan se gham-e-zamana paDa

parae nur se main kasb-e-faiz kya karta
asar paDa hai kabhi kuchh to ghaebana paDa

mujhe bhi qarz chukana tha us ka ab ke baras
ghalat nahin jo mera dasht mein Thikana paDa

kisi ke hisse mein aai KHirad ki saffaki
kisi ke hath gham-e-ishq ka KHazana paDa

raha na koi yahan sar-ba-sar tahi-daman
sabhi ke zarf mein maqdur phir zamana paDa

hazar aankh dikhate rahe adu 'nami'
ghazal ghazal hi rahi farq ek zara na paDa

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 mere KHayal se aage tera nishana paDa Nomaan Shauque

Source: Book : Adhoori Baat (Pg. 7) Author : Faheem Jogapuri Publication : Rehmania Foundation, Azad Nagar, Bihar (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+