Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jauhar

  • Ghazal


kya bataen kya kamaya ishq mein


kyā batā.eñ kyā kamāyā ishq meñ
dard hai dil meñ na āñkhoñ meñ namī

qurb meñ jis ke guzāre roz-o-shab
ajnabī hai itne barsoñ baad bhī

thā mire dil meñ kabhī us kā makāñ
maiñ ne jis ko duur se āvāz dī

ab to vo mausam purāne ho ga.e
ab to vo bāteñ haiñ saarī ḳhvāb kī

rabt 'jauhar' un se itnā rah gayā
phone kī ghanTī bajī bajtī rahī

kya bataen kya kamaya ishq mein
dard hai dil mein na aankhon mein nami

qurb mein jis ke guzare roz-o-shab
ajnabi hai itne barson baad bhi

tha mere dil mein kabhi us ka makan
main ne jis ko dur se aawaz di

ab to wo mausam purane ho gae
ab to wo baaten hain sari KHwab ki

rabt 'jauhar' un se itna rah gaya
phone ki ghanTi baji bajti rahi


Source: Book : Sahbaa-o-Saman (Pg. 51) Author : ahshar Inayati Publication : Ismail Graphic, Chaman Ganj, Kanpur (1st 1979 IInd 2008) Edition : 1st 1979 IInd 2008

Leave a comment

+