Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Liaqat Jafri

  • Ghazal


mere wajud abhi na-tawan nahin hona


mire vajūd abhī nā-tavāñ nahīñ honā
phir is ke ba.ad ye mausam javāñ nahīñ honā

kise ḳhabar thī ki mahshar kā hogā ye bhī rañg
zamīñ kā honā magar āsmāñ nahīñ honā

hameñ ḳhabar hai ki vahshat Thikāne lagnī hai
hamārā josh abhī rā.egāñ nahīñ honā

vajūd apnā hai aur aap tai kareñge ham
kahāñ pe honā hai ham ko kahāñ nahīñ honā

ab is ke ba.ad sakat kuchh nahīñ rahī mujh meñ
ab is se aage kā qissa bayāñ nahīñ honā

hamārī bastī kā dukh hai hamīñ se pūchho miyāñ
ki qabreñ honī magar āstāñ nahīñ honā

maqām-e-shukr hai mere liye ki mere murīd
ye terā aaj mirā qadr-dāñ nahīñ honā

maiñ ḳhāndān kā sab se baḌā madārī huuñ
tamāsha hotā rahegā yahāñ nahīñ honā

bas itnī duurī mayassar rahegī donoñ ko
ki fāsla bhī koī darmiyāñ nahīñ honā

ajab azaab thā ki apne shahr-e-armāñ meñ
hamāre vāste jā-e-amāñ nahīñ honā

ye zulm hai ki munādī ho imtihānoñ kī
phir is ke ba.ad koī imtihāñ nahīñ honā

ajab supurdagī-e-jāñ kā marhala thā 'alī'
hamāre hone kā ham ko gumāñ nahīñ honā

mere wajud abhi na-tawan nahin hona
phir is ke baad ye mausam jawan nahin hona

kise KHabar thi ki mahshar ka hoga ye bhi rang
zamin ka hona magar aasman nahin hona

hamein KHabar hai ki wahshat Thikane lagni hai
hamara josh abhi raegan nahin hona

wajud apna hai aur aap tai karenge hum
kahan pe hona hai hum ko kahan nahin hona

ab is ke baad sakat kuchh nahin rahi mujh mein
ab is se aage ka qissa bayan nahin hona

hamari basti ka dukh hai hamin se puchho miyan
ki qabren honi magar aastan nahin hona

maqam-e-shukr hai mere liye ki mere murid
ye tera aaj mera qadr-dan nahin hona

main KHandan ka sab se baDa madari hun
tamasha hota rahega yahan nahin hona

bas itni duri mayassar rahegi donon ko
ki fasla bhi koi darmiyan nahin hona

ajab azab tha ki apne shahr-e-arman mein
hamare waste ja-e-aman nahin hona

ye zulm hai ki munadi ho imtihanon ki
phir is ke baad koi imtihan nahin hona

ajab supurdagi-e-jaan ka marhala tha 'ali'
hamare hone ka hum ko guman nahin hona


Leave a comment

+