Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


jate ho tum jo ruTh ke jate hain ji se hum


jaate ho tum jo ruuTh ke jaate haiñ jī se ham
tum kyā ḳhafā ho ḳhud haiñ ḳhafā zindagī se ham

kuchh aise bad-havās haiñ dil kī lagī se ham
kahte haiñ mudda.ā-e-dil mudda.ī se ham

be-zār ho chuke haiñ bahut dil-lagī se ham
bas ho to umr bhar na mileñ ab kisī se ham

ye jānte to shikve na karte raqīb ke
kahte haiñ terī zid se mileñge usī se ham

mujrim hai kaun donoñ meñ insāf kījiye
chhup chhup ke aap milte haiñ yā mudda.ī se ham

ham aur chaah ġhair kī allāh se Daro
milte haiñ tum se bhī to tumhārī ḳhushī se ham

jate ho tum jo ruTh ke jate hain ji se hum
tum kya KHafa ho KHud hain KHafa zindagi se hum

kuchh aise bad-hawas hain dil ki lagi se hum
kahte hain muddaa-e-dil muddai se hum

be-zar ho chuke hain bahut dil-lagi se hum
bas ho to umr bhar na milen ab kisi se hum

ye jaante to shikwe na karte raqib ke
kahte hain teri zid se milenge usi se hum

mujrim hai kaun donon mein insaf kijiye
chhup chhup ke aap milte hain ya muddai se hum

hum aur chah ghair ki allah se Daro
milte hain tum se bhi to tumhaari KHushi se hum

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 jate ho tum jo ruTh ke jate hain ji se hum Fasih Akmal

Source: Book : Teksaal (Pg. 105) Author : 2016 Publication : kasauti Publication (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+