Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


dharti par sab dard ke mare kis ke hain


dhartī par sab dard ke maare kis ke haiñ
āsmān par chāñd sitāre kis ke haiñ

sunte haiñ vo shaḳhs to ghar hī badal gayā
phir ye dil-āvez ishāre kis ke haiñ

kis sahrā kī dhuul hai sab kī āñkhoñ meñ
be-mauj o be-rūd kināre kis ke haiñ

ab kyā sochnā aisī-vaisī bātoñ pe
un hāthoñ ne baal sañvāre kis ke haiñ

kaun hai is rim-jhim ke pīchhe chhupā huā
ye aañsū saare ke saare kis ke haiñ

kisī pahāḌ kī choTī par chaḌh kar dekho
āñkhoñ se ojhal nazzāre kis ke haiñ

dharti par sab dard ke mare kis ke hain
aasman par chand sitare kis ke hain

sunte hain wo shaKHs to ghar hi badal gaya
phir ye dil-awez ishaare kis ke hain

kis sahra ki dhul hai sab ki aankhon mein
be-mauj o be-rud kinare kis ke hain

ab kya sochna aisi-waisi baaton pe
un hathon ne baal sanware kis ke hain

kaun hai is rim-jhim ke pichhe chhupa hua
ye aansu sare ke sare kis ke hain

kisi pahaD ki choTi par chaDh kar dekho
aankhon se ojhal nazzare kis ke hain


Source: Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish

Leave a comment

+