Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bal Mukund Besabr

  • Ghazal


KHwab mein bhi na ye KHayal hua


ḳhvāb meñ bhī na ye ḳhayāl huā
ki mirā yaar se visāl huā

zo.af se ab ye apnā haal huā
ki bayāñ zo.af kā muhāl huā

mai-kashī ko harām kahtā hai
ḳhūn-e-zāhid hameñ halāl huā

huuñ maiñ pāmāl misl-e-tāza nihāl
ho ke paidā maiñ kyā nihāl huā

paañv pakḌā thā bahr-e-uzr-e-gunāh
is ko kuchh aur ehtimāl huā

KHwab mein bhi na ye KHayal hua
ki mera yar se visal hua

zoaf se ab ye apna haal hua
ki bayan zoaf ka muhaal hua

mai-kashi ko haram kahta hai
KHun-e-zahid hamein halal hua

hun main pamal misl-e-taza nihaal
ho ke paida main kya nihaal hua

panw pakDa tha bahr-e-uzr-e-gunah
is ko kuchh aur ehtimal hua


Source: Subh Ka Suraj

Leave a comment

+