jism par baaqī ye sar hai kyā karūñ
dast-e-qātil be-hunar hai kyā karūñ
chāhtā huuñ phūñk duuñ is shahr ko
shahr meñ in kā bhī ghar hai kyā karūñ
vo to sau sau martaba chāheñ mujhe
merī chāhat meñ kasar hai kyā karūñ
paañv meñ zanjīr kāñTe aable
aur phir hukm-e-safar hai kyā karūñ
'kaif' kā dil 'kaif' kā dil hai magar
vo nazar phir vo nazar hai kyā karūñ
'kaif' meñ huuñ ek nūrānī kitāb
paḌhne vaalā kam-nazar hai kyā karūñ
jism par baqi ye sar hai kya karun
dast-e-qatil be-hunar hai kya karun
chahta hun phunk dun is shahr ko
shahr mein in ka bhi ghar hai kya karun
wo to sau sau martaba chahen mujhe
meri chahat mein kasar hai kya karun
panw mein zanjir kanTe aable
aur phir hukm-e-safar hai kya karun
'kaif' ka dil 'kaif' ka dil hai magar
wo nazar phir wo nazar hai kya karun
'kaif' mein hun ek nurani kitab
paDhne wala kam-nazar hai kya karun
Source: Book : sheerazah (Pg. 59) Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973) Edition : 1973
Leave a comment