Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Khan

  • Ghazal


intizar us ka kar bhi sakte ho


intizār us kā kar bhī sakte ho
kar ke va.ada mukar bhī sakte ho

tum agar ghar meñ aa nahīñ sakte
mere ghar se guzar bhī sakte ho

tum ne patthar se dil lagāyā hai
aa.ina ho bikhar bhī sakte ho

mujhe har lamha kyoñ satāte ho
duniyā vaalo sudhar bhī sakte ho

milne jaanā hai tujh ko kal 'faisal'
aaj kī shaam mar bhī sakte ho

intizar us ka kar bhi sakte ho
kar ke wada mukar bhi sakte ho

tum agar ghar mein aa nahin sakte
mere ghar se guzar bhi sakte ho

tum ne patthar se dil lagaya hai
aaina ho bikhar bhi sakte ho

mujhe har lamha kyon satate ho
duniya walo sudhar bhi sakte ho

milne jaana hai tujh ko kal 'faisal'
aaj ki sham mar bhi sakte ho


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+