Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Raza

  • Ghazal


kab hawa muTThi mein aati hai abas dauDa kiya


kab havā muTThī meñ aatī hai abas dauḌā kiyā
jaane kyā kyā kal yūñhī maiñ rāt-bhar sochā kiyā

ab to is tark-e-ta.alluq meñ mujhe bhī lutf hai
jo kiyā tum ne mirī ḳhātir bahut achchhā kiyā

jaise vo bhī falsafe ke nukta-e-pechīda hoñ
merī bāteñ mere badle ġhair se samjhā kiyā

phir mujhe daryāft karne kī use hasrat rahī
vo mujhe dīmak lage aurāq meñ DhūñDhā kiyā

ḳhū meñ chāhe tund ho dil se nihāyat nek hai
bhuul kar sab pichhlī bāteñ mere paas aayā kiyā

tishnagī merā muqaddar hai mujhe paanī se kyā
jāntā thā phir bhī ḳhema nahr par barpā kiyā

kal vahī shab thī jo aatī hai nasīboñ se magar
aur sab sote rahe bas ek maiñ jaagā kiyā

jab na.ī āvāz uTThī qatl karne aa.e log
ik madārī saañp kā sar maan kar kuchlā kiyā

kab hawa muTThi mein aati hai abas dauDa kiya
jaane kya kya kal yunhi main raat-bhar socha kiya

ab to is tark-e-talluq mein mujhe bhi lutf hai
jo kiya tum ne meri KHatir bahut achchha kiya

jaise wo bhi falsafe ke nukta-e-pechida hon
meri baaten mere badle ghair se samjha kiya

phir mujhe daryaft karne ki use hasrat rahi
wo mujhe dimak lage auraq mein DhunDha kiya

KHu mein chahe tund ho dil se nihayat nek hai
bhul kar sab pichhli baaten mere pas aaya kiya

tishnagi mera muqaddar hai mujhe pani se kya
jaanta tha phir bhi KHema nahr par barpa kiya

kal wahi shab thi jo aati hai nasibon se magar
aur sab sote rahe bas ek main jaga kiya

jab nai aawaz uTThi qatl karne aae log
ek madari sanp ka sar man kar kuchla kiya


Source: Book : gazal darakht (Pg. 114) Author : Iftikhar Raghib Publication : arshia publications (2014) Edition : 2014

Leave a comment

+