ḳhāmushī ko sadā meñ rakkhā gayā
ek jaadū havā meñ rakkhā gayā
chāk-e-jāñ se utaar kar kuuza
sahn-e-āb-o-havā meñ rakkhā gayā
phir murattab kiye ga.e jazbāt
ishq ko ibtidā meñ rakkhā gayā
sañg-e-buniyād thī ḳhalāoñ kī
ek patthar havā meñ rakkhā gayā
ek koñpal sajā.ī achkan par
ek ḳhanjar qabā meñ rakkhā gayā
ek dariyā uThā ke laayā gayā
dasht-e-karb-o-balā meñ rakkhā gayā
mushtahar kī ga.iiñ duā.eñ bahut
aur asar bad-duā meñ rakkhā gayā
mujh ko taḳhlīq se guzārā gayā
aur ḳhudā kī razā meñ rakkhā gayā
inkishāfāt ho chuke saare
mo.ajaze ko anā meñ rakkhā gayā
KHamushi ko sada mein rakkha gaya
ek jadu hawa mein rakkha gaya
chaak-e-jaan se utar kar kuza
sahn-e-ab-o-hawa mein rakkha gaya
phir murattab kiye gae jazbaat
ishq ko ibtida mein rakkha gaya
sang-e-buniyaad thi KHalaon ki
ek patthar hawa mein rakkha gaya
ek konpal sajai achkan par
ek KHanjar qaba mein rakkha gaya
ek dariya uTha ke laya gaya
dasht-e-karb-o-bala mein rakkha gaya
mushtahar ki gain duaen bahut
aur asar bad-dua mein rakkha gaya
mujh ko taKHliq se guzara gaya
aur KHuda ki raza mein rakkha gaya
inkishafat ho chuke sare
moajaze ko ana mein rakkha gaya
Leave a comment