Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Obaid

  • Ghazal


tha wo jangal ki nagar yaad nahin


thā vo jañgal ki nagar yaad nahīñ
kyā thī vo rāhguzar yaad nahīñ

ye ḳhayāl aatā hai maiñ ḳhush thā bahut
kis taraf thā mirā ghar yaad nahīñ

kyā thī vo shakl pe bholī thī bahut
pyārā sā naam thā par yaad nahīñ

zaḳhmoñ ke phuul haiñ dil meñ ab bhī
kis ne baḳhshe the magar yaad nahīñ

ik ghanī chhāñv meñ din biitā hai
shab kahāñ kī thī basar yaad nahīñ

ek lamha to dhaḌaktā hai zarūr
ka.ī sadiyoñ kā safar yaad nahīñ

taaq the dāstāñ kahne meñ 'obaid'
ab ba-juz dīda-e-tar yaad nahīñ

tha wo jangal ki nagar yaad nahin
kya thi wo rahguzar yaad nahin

ye KHayal aata hai main KHush tha bahut
kis taraf tha mera ghar yaad nahin

kya thi wo shakl pe bholi thi bahut
pyara sa nam tha par yaad nahin

zaKHmon ke phul hain dil mein ab bhi
kis ne baKHshe the magar yaad nahin

ek ghani chhanw mein din bita hai
shab kahan ki thi basar yaad nahin

ek lamha to dhaDakta hai zarur
kai sadiyon ka safar yaad nahin

taq the dastan kahne mein 'obaid'
ab ba-juz dida-e-tar yaad nahin


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+