Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


faiz-e-ahd-e-jadid tanhai


faiz-e-ahd-e-jadīd tanhā.ī
sah rahā huuñ shadīd tanhā.ī

baḌhtā jaatā hai halqa-e-ahbāb
baḌh rahī hai mazīd tanhā.ī

hai jahāñ tak bhī soch sannāTā
hai jahāñ tak bhī diid tanhā.ī

baiTh kar dostoñ kī mahfil meñ
kar rahā huuñ kashīd tanhā.ī

paas hablul-varīd ke hai ḳhudā
zer-e-hablul-varīd tanhā.ī

ghar se ghabrā ke bāhar aayā thā
ghar se bāhar mazīd tanhā.ī

T v mobile tab computer
de ke paise ḳharīd tanhā.ī

faiz-e-ahd-e-jadid tanhai
sah raha hun shadid tanhai

baDhta jata hai halqa-e-ahbab
baDh rahi hai mazid tanhai

hai jahan tak bhi soch sannaTa
hai jahan tak bhi did tanhai

baiTh kar doston ki mahfil mein
kar raha hun kashid tanhai

pas hablul-warid ke hai KHuda
zer-e-hablul-warid tanhai

ghar se ghabra ke bahar aaya tha
ghar se bahar mazid tanhai

T w mobile tab computer
de ke paise KHarid tanhai


Leave a comment

+