vo dil nasīb huā jis ko daaġh bhī na milā
milā vo ġham-kada jis meñ charāġh bhī na milā
ga.ī thī kah ke maiñ laatī huuñ zulf-e-yār kī bū
phirī to bād-e-sabā kā dimāġh bhī na milā
charāġh le ke irāda thā yaar ko DhūñDeñ
shab-e-firāq thī koī charāġh bhī na milā
ḳhabar ko yaar kī bhejā thā gum hue aaise
havās-e-rafta kā ab tak surāġh bhī na milā
'jalāl' bāġh-e-jahāñ meñ vo andalīb haiñ ham
chaman ko phuul mile ham ko daaġh bhī na milā
wo dil nasib hua jis ko dagh bhi na mila
mila wo gham-kada jis mein charagh bhi na mila
gai thi kah ke main lati hun zulf-e-yar ki bu
phiri to baad-e-saba ka dimagh bhi na mila
charagh le ke irada tha yar ko DhunDen
shab-e-firaq thi koi charagh bhi na mila
KHabar ko yar ki bheja tha gum hue aaise
hawas-e-rafta ka ab tak suragh bhi na mila
'jalal' bagh-e-jahan mein wo andalib hain hum
chaman ko phul mile hum ko dagh bhi na mila
Source: Khushboo Rang Sada ke Sang
Leave a comment