Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aabid Adeeb

  • Ghazal


jab jab bhi dekhiye use KHun-bar si lage


jab jab bhī dekhiye use ḳhūñ-bār sī lage
duniyā hamesha barsar-e-paikār sī lage

har har nafas pe rañg badaltī hai zindagī
ik phuul sī lage hai kabhī ḳhaar sī lage

chehra hai mere dost kā yā koī aa.ina
dekhūñ ulaT-palaT ke to bhī aarsī lage

aadat sī paḌ ga.ī hai use bolne kī tez
vo baat bhī kare hai to takrār sī lage

tum saath ho to ham bhī bayābāñ ko ghar kareñ
ye saḳht dhuup sāya-e-dīvār sī lage

har har qadam pe jaise ki biktā ho aadmī
bastī tamām misr ke bāzār sī lage

'ābid' tamām shahr pe aalam hai kaun sā
har ek shakl naqsh-ba-dīvār sī lage

jab jab bhi dekhiye use KHun-bar si lage
duniya hamesha barsar-e-paikar si lage

har har nafas pe rang badalti hai zindagi
ek phul si lage hai kabhi KHar si lage

chehra hai mere dost ka ya koi aaina
dekhun ulaT-palaT ke to bhi aarsi lage

aadat si paD gai hai use bolne ki tez
wo baat bhi kare hai to takrar si lage

tum sath ho to hum bhi bayaban ko ghar karen
ye saKHt dhup saya-e-diwar si lage

har har qadam pe jaise ki bikta ho aadmi
basti tamam misr ke bazar si lage

'abid' tamam shahr pe aalam hai kaun sa
har ek shakl naqsh-ba-diwar si lage


Leave a comment

+