Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aamir Suhail

  • Ghazal


sabz hikayat surKH kahani


sabz hikāyat surḳh kahānī
tere āñchal kī mehmānī

sahj sahj us husn kā chalnā
us pe andhī shab tūfānī

ik misrā vo jism ikahrā
duujā mere lab dahqānī

jild sunahrī hoñT piyāzī
is pe ḳhvāhish kī arzānī

bāloñ kā ghanghor añdherā
ubhrī īñToñ kī hairānī

pinDlī se Takrātī pinDlī
utran kī fitna-sāmānī

ik laḌkī ke dūpaTTe par
ham ne ik rut hai phailānī

añgūroñ kī bel se shab-bhar
bāteñ kartī hai vīrānī

pusht ye niil paḌe hoñ jaise
jaltā hai pātāl meñ paanī

do jismoñ kī aañkh anokhī
ḳhvāb aur ḳhvāhish kī yak-jānī

os ke bhāle ruuh ke chhāle
chhāle sā ik dil sailānī

kaise dil masle jaatā hai
gadlā din kauḌī yarqānī

ik ta.avīz kā sabza dil par
ek hikāyat raat kī raanī

dekh dilāsoñ vaalā kaasa
ishq kī damḌī kī hairānī

sāvan ke chhajje par 'āmir'
ik bhī buuñd nahīñ bārānī

sabz hikayat surKH kahani
tere aanchal ki mehmani

sahj sahj us husn ka chalna
us pe andhi shab tufani

ek misra wo jism ikahra
duja mere lab dahqani

jild sunahri honT piyazi
is pe KHwahish ki arzani

baalon ka ghanghor andhera
ubhri inTon ki hairani

pinDli se Takraati pinDli
utran ki fitna-samani

ek laDki ke dupaTTe par
hum ne ek rut hai phailani

anguron ki bel se shab-bhar
baaten karti hai virani

pusht ye nil paDe hon jaise
jalta hai patal mein pani

do jismon ki aankh anokhi
KHwab aur KHwahish ki yak-jaani

os ke bhaale ruh ke chhaale
chhaale sa ek dil sailani

kaise dil masle jata hai
gadla din kauDi yarqani

ek tawiz ka sabza dil par
ek hikayat raat ki rani

dekh dilason wala kasa
ishq ki damDi ki hairani

sawan ke chhajje par 'amir'
ek bhi bund nahin barani


Source: Book : Teksaal (Pg. 74) Author : Tafzeel Ahmad Publication : kasauti Publication (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+