Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


kaisi hai aah apni tabiat bhari hui


kaisī hai aah apnī tabī.at bharī huī
āñkhoñ meñ ashk ashk meñ hasrat bharī huī

aTkheliyāñ na kar tū nasīm-e-sahar ki hai
rag rag meñ un guloñ kī nazākat bharī huī

kyuuñ be-sabab hujūm-e-tamannā-o-yās se
hai is dil-e-hazīñ kī imārat bharī huī

kis jā karegā mayyat-e-ushshāq dafn tū
yaañ hai shahīd-e-nāz kī turbat bharī huī

gar jaam tū pilā.e to piinā halāl hai
tujh meñ to sāqiyā hai malāhat bharī huī

kyuuñ kar gadā na tere ġhanī huuñ sanam ki hai
dast-e-karam meñ tere saḳhāvat bharī huī

ifshā-e-rāz-e-ishq na ho ḳhauf hai yahī
chhuptī nahīñ hai aañkh mohabbat bharī huī

tum dekh lo 'jamīla' ki dil ġham huā na ho
āñkhoñ meñ un ke kyuuñ hai nadāmat bharī huī

kaisi hai aah apni tabiat bhari hui
aankhon mein ashk ashk mein hasrat bhari hui

aTkheliyan na kar tu nasim-e-sahar ki hai
rag rag mein un gulon ki nazakat bhari hui

kyun be-sabab hujum-e-tamanna-o-yas se
hai is dil-e-hazin ki imarat bhari hui

kis ja karega mayyat-e-ushshaq dafn tu
yan hai shahid-e-naz ki turbat bhari hui

gar jam tu pilae to pina halal hai
tujh mein to saqiya hai malahat bhari hui

kyun kar gada na tere ghani hun sanam ki hai
dast-e-karam mein tere saKHawat bhari hui

ifsha-e-raaz-e-ishq na ho KHauf hai yahi
chhupti nahin hai aankh mohabbat bhari hui

tum dekh lo 'jamila' ki dil gham hua na ho
aankhon mein un ke kyun hai nadamat bhari hui


Source: Book : Ibaraten (Pg. 25) Author : Najeeb Ahmad Publication : Jung Publishers (1991) Edition : 1991

Leave a comment

+