Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Madan Mohan Danish

  • Ghazal


aadhi aag aur aadha pani hum donon


aadhī aag aur aadhā paanī ham donoñ
jaltī-bujhtī ek kahānī ham donoñ

mandir masjid girja-ghar aur gurū-dvāra
lafz ka.ī haiñ ek ma.ānī ham donoñ

ruup badal kar naam badal kar aate haiñ
faanī ho kar bhī lā-fānī ham donoñ

gyānī dhyānī chatur siyānī duniyā meñ
jiite haiñ apnī nādānī ham donoñ

aadhā aadhā baañT ke jiite rahte haiñ
raunaq ho yā ho vīrānī ham donoñ

nazar lage nā apnī jagmag duniyā ko
karte rahte haiñ nigarānī ham donoñ

ḳhvāboñ kā ik nagar basā lete haiñ roz
aur ban jaate haiñ sailānī ham donoñ

tū sāvan kī shoḳh ghaTā meñ pyāsā ban
chal karte haiñ kuchh man-mānī ham donoñ

ik-dūje ko roz sunāte haiñ 'dānish'
apnī apnī rām-kahānī ham donoñ

aadhi aag aur aadha pani hum donon
jalti-bujhti ek kahani hum donon

mandir masjid girja-ghar aur guru-dwara
lafz kai hain ek maani hum donon

rup badal kar nam badal kar aate hain
fani ho kar bhi la-fani hum donon

gyani dhyani chatur siyani duniya mein
jite hain apni nadani hum donon

aadha aadha banT ke jite rahte hain
raunaq ho ya ho virani hum donon

nazar lage na apni jagmag duniya ko
karte rahte hain nigarani hum donon

KHwabon ka ek nagar basa lete hain roz
aur ban jate hain sailani hum donon

tu sawan ki shoKH ghaTa mein pyasa ban
chal karte hain kuchh man-mani hum donon

ik-duje ko roz sunate hain 'danish'
apni apni ram-kahani hum donon


Source: Book : jadeed urdu gazal (Pg. 219) Author : mahshar badayuni Publication : khuda bakhsh oriental public library patna (1995) Edition : 1995

Leave a comment

+