Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farah Khan

  • Ghazal


tere siwa to nazar mein koi jacha hi nahin


tire sivā to nazar meñ koī jachā hī nahīñ
ye mas.ala to magar tujh ko dikh rahā hī nahīñ

vo dil kī baat nigāhoñ se jaan saktā thā
vo jald-bāz magar in meñ jhāñktā hī nahīñ

lakīr khīñch ke naqsha ġhalat kiyā maiñ ne
ki merā haath kisī kī talab rahā hī nahīñ

samay kī jhiil ne paanī tarā.ī par pheñkā
vo shah-savār magar us taraf gayā hī nahīñ

muhīb rāste ham ko kahāñ Darā sakte
vafā kī raah pe koī hameñ milā hī nahīñ

maiñ saTpaTā ke razā.ī meñ muñh chhupātī huuñ
tumhārā hijr to kamre se jā rahā hī nahīñ

use talāsh kiyā hai farah bahut maiñ ne
vo ek shaḳhs jo mil kar bhī mil sakā hī nahīñ

tere siwa to nazar mein koi jacha hi nahin
ye masala to magar tujh ko dikh raha hi nahin

wo dil ki baat nigahon se jaan sakta tha
wo jald-baz magar in mein jhankta hi nahin

lakir khinch ke naqsha ghalat kiya main ne
ki mera hath kisi ki talab raha hi nahin

samay ki jhil ne pani tarai par phenka
wo shah-sawar magar us taraf gaya hi nahin

muhib raste hum ko kahan Dara sakte
wafa ki rah pe koi hamein mila hi nahin

main saTpaTa ke razai mein munh chhupati hun
tumhaara hijr to kamre se ja raha hi nahin

use talash kiya hai farah bahut main ne
wo ek shaKHs jo mil kar bhi mil saka hi nahin


Source: Book : Muasir (Pg. 226) Author : Habibullah Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore

Leave a comment

+