Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Laxmi Narayan Farigh

  • Ghazal


KHata anjam ho kar rah gaya hai


ḳhatā anjām ho kar rah gayā hai
bashar nākām ho kar rah gayā hai

tirā milnā ba-qaid-e-zindagānī
ḳhayāl-e-ḳhām ho kar rah gayā hai

fareb-e-e'tibār-e-sa.ī-e-paiham
mirā anjām ho kar rah gayā hai

har ik unvāñ bayāz-e-ārzū kā
tirā paiġhām ho kar rah gayā hai

dil-e-nākām kā har dāġh-e-hasrat
savād-e-shām ho kar rah gayā hai

vafā kā naam 'fāriġh' is jahāñ meñ
barā.e-nām ho kar rah gayā hai

KHata anjam ho kar rah gaya hai
bashar nakaam ho kar rah gaya hai

tera milna ba-qaid-e-zindagani
KHayal-e-KHam ho kar rah gaya hai

fareb-e-e'tibar-e-sai-e-paiham
mera anjam ho kar rah gaya hai

har ek unwan bayaz-e-arzu ka
tera paigham ho kar rah gaya hai

dil-e-nakaam ka har dagh-e-hasrat
sawad-e-sham ho kar rah gaya hai

wafa ka nam 'farigh' is jahan mein
barae-nam ho kar rah gaya hai


Source: Book : Ehsasat-e-Farigh (Pg. 49) Author : Laxmi Narayan Farigh

Leave a comment

+