husn is sham.a-rū kā hai gul-rañg
kyuuñ na bulbul jale misāl-e-patañg
ḳhatt-e-shab-rañg us parī-rū kā
dekh aayā hai aarsī par zañg
us ke nāzuk badan meñ hue nihāñ
pahne gar vo sanam qabā-e-tañg
dekh majnūñ ne bas kahā mujh kuuñ
is qadar mārte haiñ tiflāñ sañg
sāqiyā jaam mai suuñ kar sarshār
mujh kuuñ darkār niiñ hai nām-o-nañg
ġhair gardish ke pahuñchtā nahīñ rizq
shāhid us par hai āsiyā kā sañg
yak qadam rāh-e-dost hai 'dā.ūd'
lekin afsos pā-e-baḳht hai lañg
husn is shama-ru ka hai gul-rang
kyun na bulbul jale misal-e-patang
KHatt-e-shab-rang us pari-ru ka
dekh aaya hai aarsi par zang
us ke nazuk badan mein hue nihan
pahne gar wo sanam qaba-e-tang
dekh majnun ne bas kaha mujh kun
is qadar marte hain tiflan sang
saqiya jam mai sun kar sarshaar
mujh kun darkar nin hai nam-o-nang
ghair gardish ke pahunchta nahin rizq
shahid us par hai aasiya ka sang
yak qadam rah-e-dost hai 'daud'
lekin afsos pa-e-baKHt hai lang
Leave a comment