Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Zarrar Ahmad

  • Ghazal


waqt ka silsila nahin rukta


vaqt kā silsila nahīñ ruktā
laakh roko zarā nahīñ ruktā

ye zamīñ hai ḳhudāoñ kā madfan
ādam-e-kaj-adā nahīñ ruktā

ishq vo chaar sū safar hai jahāñ
koī bhī rāsta nahīñ ruktā

raftagāñ ā.īna dikhātā hai
kuchh bhī ho irtiqā nahīñ ruktā

waqt ka silsila nahin rukta
lakh roko zara nahin rukta

ye zamin hai KHudaon ka madfan
aadam-e-kaj-ada nahin rukta

ishq wo chaar su safar hai jahan
koi bhi rasta nahin rukta

raftagan aaina dikhata hai
kuchh bhi ho irtiqa nahin rukta


Leave a comment

+