Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aatish Bahawalpuri

  • Ghazal


aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main


aap kī hastī meñ hī mastūr ho jaatā huuñ maiñ
jab qarīb aate ho ḳhud se duur ho jaatā huuñ maiñ

daar par chaḌh kar kabhī mansūr ho jaatā huuñ maiñ
tuur par jā kar kalīm-e-tūr ho jaatā huuñ maiñ

yuuñ kisī se apne ġham kī dāstāñ kahtā nahīñ
pūchhte haiñ vo to phir majbūr ho jaatā huuñ maiñ

apnī fitrat kyā kahūñ apnī tabī.at kyā kahūñ?
dūsroñ ke ġham meñ bhī ranjūr ho jaatā huuñ maiñ

mujh ko 'ātish' bāda-o-sāġhar se ho kyā vāsta?
un kī āñkheñ dekh kar maḳhmūr ho jaatā huuñ maiñ

aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main
jab qarib aate ho KHud se dur ho jata hun main

dar par chaDh kar kabhi mansur ho jata hun main
tur par ja kar kalim-e-tur ho jata hun main

yun kisi se apne gham ki dastan kahta nahin
puchhte hain wo to phir majbur ho jata hun main

apni fitrat kya kahun apni tabiat kya kahun?
dusron ke gham mein bhi ranjur ho jata hun main

mujh ko 'atish' baada-o-saghar se ho kya wasta?
un ki aankhen dekh kar maKHmur ho jata hun main


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+