Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faraz Sultanpuri

  • Ghazal


ek dil ki KHatir itne to fitne kabhi na the


ik dil kī ḳhātir itne to fitne kabhī na the
hote har ik qadam pe ye dhoke kabhī na the

phūloñ kī tāzgī meñ udāsī hai shaam kī
saa.e ġhamoñ ke itne to gahre kabhī na the

bād-e-sabā se pūchhiye āḳhir hai baat kyā
chehre guloñ ke is qadar utre kabhī na the

dāman meñ har sahar ke jo manzar hai shaam kā
naqshe jahāñ ke aise to dekhe kabhī na the

apnī taraf bhī dekhā to haa.el vo ho ga.e
āñkhoñ meñ ban ke ḳhvāb jo utre kabhī na the

ek dil ki KHatir itne to fitne kabhi na the
hote har ek qadam pe ye dhoke kabhi na the

phulon ki tazgi mein udasi hai sham ki
sae ghamon ke itne to gahre kabhi na the

baad-e-saba se puchhiye aaKHir hai baat kya
chehre gulon ke is qadar utre kabhi na the

daman mein har sahar ke jo manzar hai sham ka
naqshe jahan ke aise to dekhe kabhi na the

apni taraf bhi dekha to hael wo ho gae
aankhon mein ban ke KHwab jo utre kabhi na the


Source: Book : Koi bhi rut ho (Pg. 27) Author : Farah iqbal Publication : Alhamd Publications (2011) Edition : 2011

Leave a comment

+