parindoñ se daraḳhtoñ se kahūñgā
maiñ terā pyaar phūloñ se kahūñgā
bichhaḌ kar jā rahī ho itnā socho
mirī jaañ kyā maiñ logoñ se kahūñgā
kaho us se ki vāpas lauT aa.e
maiñ dukhḌā apnā rastoñ se kahūñgā
uTho uTh kar uchhāleñ tāj-e-shāhī
pareshāñ-hāl bandoñ se kahūñgā
churā laa.eñ tirī ā.ankhoñ se nīndeñ
maiñ ḳhvābīda nigāhoñ se kahūñgā
'kañval' ko lā ke dafnā.eñ vatan meñ
vasiyyat meñ ye bachchoñ se kahūñgā
parindon se daraKHton se kahunga
main tera pyar phulon se kahunga
bichhaD kar ja rahi ho itna socho
meri jaan kya main logon se kahunga
kaho us se ki wapas lauT aae
main dukhDa apna raston se kahunga
uTho uTh kar uchhaalen taj-e-shahi
pareshan-haal bandon se kahunga
chura laen teri aaankhon se ninden
main KHwabida nigahon se kahunga
'kanwal' ko la ke dafnaen watan mein
wasiyyat mein ye bachchon se kahunga
Source: Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 153) Author : Naseer Ahmed Nasir Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998) Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Leave a comment