Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Nadeem Faisal

  • Ghazal


KHwahishen intizar aur yaqin


ḳhvāhisheñ intizār aur yaqīn
vasvase be-shumār aur yaqīn

tiin arkān ādamiyat ke
ājizī inkisār aur yaqīn

izn-e-rabb-ul-alā-o-rāz-o-niyāz
aap siddīq-o-ġhār aur yaqīn

rāh-e-dushvār laḌkhaḌāte qadam
dasht-e-hairat ġhubār aur yaqīn

jañg meñ jiit kī zamānat haiñ
hausla iḳhtiyār aur yaqīn

mustaqil ishq kī himāyat meñ
log ham tiin chaar aur yaqīn

manzileñ bad-gumāniyāñ vahshat
fāsla sañg-o-ḳhār aur yaqīn

manziloñ kā surāġh aur husūl
ishq par inhisār aur yaqīn

lījiye imtihān 'faisal' kā
kījiye ek baar aur yaqīn

KHwahishen intizar aur yaqin
waswase be-shumar aur yaqin

tin arkan aadamiyat ke
aajizi inkisar aur yaqin

izn-e-rabb-ul-ala-o-raaz-o-niyaz
aap siddiq-o-ghaar aur yaqin

rah-e-dushwar laDkhaDate qadam
dasht-e-hairat ghubar aur yaqin

jang mein jit ki zamanat hain
hausla iKHtiyar aur yaqin

mustaqil ishq ki himayat mein
log hum tin chaar aur yaqin

manzilen bad-gumaniyan wahshat
fasla sang-o-KHar aur yaqin

manzilon ka suragh aur husul
ishq par inhisar aur yaqin

lijiye imtihan 'faisal' ka
kijiye ek bar aur yaqin


Source: Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 194) Author : Hasrat Mohani Publication : uttar pradesh urdu academy (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+