Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prabudha Saurabh

  • Ghazal


donon jaanib qaid-shuda is KHush-fahmi mein rahte hain


donoñ jānib qaid-shuda is ḳhush-fahmī meñ rahte haiñ
sarhad ke us paar parinde āzādī meñ rahte haiñ

shaam talak ādāb bajāte gardan dukhne lagtī hai
payāde ho kar shāhoñ vaalī ābādī meñ rahte haiñ

gar ro.e to āñkhoñ ke sab bāshinde bah jā.eñge
haa.e shikasta ḳhvāb hamāre is bastī meñ rahte haiñ

zīna-dar-zīna jab terī yaad utar kar aatī hai
muñh baa.e ash.ār hamāre hairānī meñ rahte haiñ

us kī bak-bak ghar se chal kar chāñd talak ho aatī haiñ
aur ham gum us ke hoñToñ kī turpā.ī meñ rahte haiñ

chaar kitābeñ saath nahīñ aur sau ġhazleñ kah bhī mārīñ
ab ke likhne vaale jaane kis jaldī meñ rahte haiñ

aadhī raat ġhazal kahne kā shauq kise hai 'saurabh'-jī
bas itnī sī baat hai tab ham tanhā.ī meñ rahte haiñ

donon jaanib qaid-shuda is KHush-fahmi mein rahte hain
sarhad ke us par parinde aazadi mein rahte hain

sham talak aadab bajate gardan dukhne lagti hai
payaade ho kar shahon wali aabaadi mein rahte hain

gar roe to aankhon ke sab bashinde bah jaenge
hae shikasta KHwab hamare is basti mein rahte hain

zina-dar-zina jab teri yaad utar kar aati hai
munh bae ashaar hamare hairani mein rahte hain

us ki bak-bak ghar se chal kar chand talak ho aati hain
aur hum gum us ke honTon ki turpai mein rahte hain

chaar kitaben sath nahin aur sau ghazlen kah bhi marin
ab ke likhne wale jaane kis jaldi mein rahte hain

aadhi raat ghazal kahne ka shauq kise hai 'saurabh'-ji
bas itni si baat hai tab hum tanhai mein rahte hain


Leave a comment

+