Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hajra Noor Zaryab

  • Ghazal


nahin aao ki ab aawaz-e-pa se choT lagti hai


nahīñ aao ki ab āvāz-e-pā se choT lagtī hai
mire ehsās par terī sadā se choT lagtī hai

tujhe ḳhud apnī majbūrī kā andāza nahīñ shāyad
na kar ahd-e-vafā ahd-e-vafā se choT lagtī hai

ye sab bāteñ munāsib haiñ magar phir bhī mere hamdam
taġhāful kī tire halkī adā se choT lagtī hai

havāo tum zarā Thahro na ḳhushbū aise bikhrāo
huuñ nāzuk maiñ mujhe bād-e-sabā se choT lagtī hai

ye ḳhat apne sambhālo tum hasīñ lamhe bhī le jaao
hameñ aisī mohabbat kī atā se choT lagtī hai

tumhāre ba.ad rañgīnī koī bhātī nahīñ mujh ko
hathelī ko bhī ab rañg-e-hinā se choT lagtī hai

mirī dhaḌkan meñ jin be-tābiyoñ ne Derā Daalā hai
unhī be-tābiyoñ kī intihā se choT lagtī hai

bahut hassās hai 'zaryāb' ko jhuknā nahīñ aatā
qabā phūloñ kī bhī ho to qabā se choT lagtī hai

nahin aao ki ab aawaz-e-pa se choT lagti hai
mere ehsas par teri sada se choT lagti hai

tujhe KHud apni majburi ka andaza nahin shayad
na kar ahd-e-wafa ahd-e-wafa se choT lagti hai

ye sab baaten munasib hain magar phir bhi mere hamdam
taghaful ki tere halki ada se choT lagti hai

hawao tum zara Thahro na KHushbu aise bikhrao
hun nazuk main mujhe baad-e-saba se choT lagti hai

ye KHat apne sambhaalo tum hasin lamhe bhi le jao
hamein aisi mohabbat ki ata se choT lagti hai

tumhaare baad rangini koi bhati nahin mujh ko
hatheli ko bhi ab rang-e-hina se choT lagti hai

meri dhaDkan mein jin be-tabiyon ne Dera Dala hai
unhi be-tabiyon ki intiha se choT lagti hai

bahut hassas hai 'zaryab' ko jhukna nahin aata
qaba phulon ki bhi ho to qaba se choT lagti hai


Source: Book : chera chera mery kahani (Pg. 114)

Leave a comment

+