Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghausiya Khan Sabeen

  • Ghazal


qadam qadam pe hai raqsan udasiyon ka jhunD


qadam qadam pe hai raqsāñ udāsiyoñ kā jhunD
nafas nafas meñ utartā hai siskiyoñ kā jhunD

hamāre dil kī udāsī kisī ko kyā ma.alūm
hamīñ samajh na sake kyuuñ hai hichkiyoñ kā jhunD

tumhārā saath hī chāhā thā kyā gunāh kiyā
umaD paḌā thā kyuuñ rāhoñ meñ bijliyoñ kā jhunD

'sabīn' mujh ko bhī lāhaq hai maut kā ḳhatra
mire bhī saath hai yūsuf ke bhā.iyoñ kā jhunD

qadam qadam pe hai raqsan udasiyon ka jhunD
nafas nafas mein utarta hai siskiyon ka jhunD

hamare dil ki udasi kisi ko kya malum
hamin samajh na sake kyun hai hichkiyon ka jhunD

tumhaara sath hi chaha tha kya gunah kiya
umaD paDa tha kyun rahon mein bijliyon ka jhunD

'sabin' mujh ko bhi lahaq hai maut ka KHatra
mere bhi sath hai yusuf ke bhaiyon ka jhunD


Leave a comment

+