jab se dilbar ne aañkh pherā hai
mujh ko daurān-e-sar ne gherā hai
kūcha-e-zulf nit añdherā hai
vahāñ siyah-baḳht dil kā Derā hai
vajd meñ haiñ divāne abr ko dekh
lailā-e-fasl-e-gul kā Derā hai
yakka āzād hai do aalam se
jo ki be-dām terā chīrā hai
gaal par hai kisī ke kaaT kā naqsh
muñh pe zulfeñ tabhī bikherā hai
nit bake hai ki bāolā 'uzlat'
ye na bolā kabhū ki merā hai
jab se dilbar ne aankh phera hai
mujh ko dauran-e-sar ne ghera hai
kucha-e-zulf nit andhera hai
wahan siyah-baKHt dil ka Dera hai
wajd mein hain diwane abr ko dekh
laila-e-fasl-e-gul ka Dera hai
yakka aazad hai do aalam se
jo ki be-dam tera chira hai
gal par hai kisi ke kaT ka naqsh
munh pe zulfen tabhi bikhera hai
nit bake hai ki baola 'uzlat'
ye na bola kabhu ki mera hai
Source: Book : Lahar Lahar (Pg. 19) Author : Balbir Rathee Publication : Kadambari Prakashan, Delhi (1993) Edition : 1993
Leave a comment