Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsas Muradabadi

  • Ghazal


soz aawaz mein lahje mein khanak hai saqi


soz āvāz meñ lahje meñ khanak hai saaqī
ishq kā tere yaqīñ to nahīñ shak hai saaqī

maiñ ne kab tujh se kahā hai mujhe shak hai saaqī
tere māthe pe sitāroñ kī chamak hai saaqī

kyā tirī shoḳhī-e-guftār kī tashrīh karūñ
kitnī shīrīnī hai aur kaisā namak hai saaqī

ishq ke soz ne naġhmāt ko garmī baḳhshī
ab tire saaz meñ sho.aloñ kī lapak hai saaqī

mere sāñsoñ meñ jo bas jaa.e to kyā us kā ilaaj
tū nahīñ paas magar terī mahak hai saaqī

maiñ bahak jā.ūñ to ye merī tunuk-zarfī hai
aur agar nashsha na ho kis kī hatak hai saaqī

dil-e-'ehsās' meñ jo rūh-e-tajallī hai nihāñ
chāñd tāroñ meñ kahāñ us kī jhalak hai saaqī

soz aawaz mein lahje mein khanak hai saqi
ishq ka tere yaqin to nahin shak hai saqi

main ne kab tujh se kaha hai mujhe shak hai saqi
tere mathe pe sitaron ki chamak hai saqi

kya teri shoKHi-e-guftar ki tashrih karun
kitni shirini hai aur kaisa namak hai saqi

ishq ke soz ne naghmat ko garmi baKHshi
ab tere saz mein shoalon ki lapak hai saqi

mere sanson mein jo bas jae to kya us ka ilaj
tu nahin pas magar teri mahak hai saqi

main bahak jaun to ye meri tunuk-zarfi hai
aur agar nashsha na ho kis ki hatak hai saqi

dil-e-'ehsas' mein jo ruh-e-tajalli hai nihan
chand taron mein kahan us ki jhalak hai saqi


Source: Book : Koi bhi rut ho (Pg. 155) Author : Farah iqbal Publication : Alhamd Publications (2011) Edition : 2011

Leave a comment

+