fareb-e-rāh se ġhāfil nahīñ hai
junūñ gum-karda-e-manzil nahīñ hai
mirī nākāmiyoñ par hañsne vaale
tire pahlū meñ shāyad dil nahīñ hai
ḳhudā ko nā-ḳhudā kahne lagā huuñ
safīna tālib-e-sāhil nahīñ hai
tirī bazm-e-tarab meñ aa gayā huuñ
magar dil ko sukūñ hāsil nahīñ hai
are us kī nigāh-e-be-ḳhabar bhī
mire anjām se ġhāfil nahīñ hai
mire zauq-e-safar kā pūchhnā kyā
nigāhoñ meñ mirī manzil nahīñ hai
ba-faiz-e-ishq karb-e-marg se 'naqsh'
guzar jaanā koī mushkil nahīñ hai
fareb-e-rah se ghafil nahin hai
junun gum-karda-e-manzil nahin hai
meri nakaamiyon par hansne wale
tere pahlu mein shayad dil nahin hai
KHuda ko na-KHuda kahne laga hun
safina talib-e-sahil nahin hai
teri bazm-e-tarab mein aa gaya hun
magar dil ko sukun hasil nahin hai
are us ki nigah-e-be-KHabar bhi
mere anjam se ghafil nahin hai
mere zauq-e-safar ka puchhna kya
nigahon mein meri manzil nahin hai
ba-faiz-e-ishq karb-e-marg se 'naqsh'
guzar jaana koi mushkil nahin hai
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
fareb-e-rah se ghafil nahin hai
Nomaan Shauque
Leave a comment