tā-dasht-e-adam āh-e-rasā le ga.ī mujh ko
jab ḳhaak huā maiñ to havā le ga.ī mujh ko
kosoñ mai-e-gulgūñ kī havā le ga.ī mujh ko
ye laal parī ghar se uḌā le ga.ī mujh ko
muddat se na miltī thī kahīñ raah adam kī
us shoḳh ke kūche meñ qazā le ga.ī mujh ko
thā zo.af meñ saudā kisī sahrā-e-junūñ kā
vahshat mire ghar aa ke bulā le ga.ī mujh ko
'jauhar' taraf-e-kūcha-e-jānāñ jo gayā maiñ
kyā jaane kidhar kī ye havā le ga.ī mujh ko
ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujh ko
jab KHak hua main to hawa le gai mujh ko
koson mai-e-gulgun ki hawa le gai mujh ko
ye lal pari ghar se uDa le gai mujh ko
muddat se na milti thi kahin rah adam ki
us shoKH ke kuche mein qaza le gai mujh ko
tha zoaf mein sauda kisi sahra-e-junun ka
wahshat mere ghar aa ke bula le gai mujh ko
'jauhar' taraf-e-kucha-e-jaanan jo gaya main
kya jaane kidhar ki ye hawa le gai mujh ko
Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 48)
Leave a comment