Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


ai ishq is qafas se mujhe ab rihai de


ai ishq is qafas se mujhe ab rihā.ī de
dekhūñ jidhar mujhe tirā jalva dikhā.ī de

shahar-e-shab-e-firāq ke gahre sukūt meñ
apnī sadā mujhe bhī kabhī to sunā.ī de

yād-e-habīb mujh ko bhī ab mujh se kar judā
mujh ko hujūm-e-dard meñ merī ikaa.ī de

kab se maiñ ḳhāmushī ke nagar meñ muqīm huuñ
lekin ye kaun hai jo yahāñ bhī sunā.ī de

zulmat-zadoñ ko jāda-o-manzil kī kyā ḳhabar
tārīk rāstoñ meñ bhalā kyā sujhā.ī de

qatre meñ maujzan hai samundar hī har jagah
ab vo mujhe farāz-e-ufuq tak rasā.ī de

maqtal meñ kaise chhoḌ ke rāheñ badal gayā
yārab kisī sanam ko na aisī ḳhudā.ī de

ai ishq is qafas se mujhe ab rihai de
dekhun jidhar mujhe tera jalwa dikhai de

shahar-e-shab-e-firaq ke gahre sukut mein
apni sada mujhe bhi kabhi to sunai de

yaad-e-habib mujh ko bhi ab mujh se kar juda
mujh ko hujum-e-dard mein meri ikai de

kab se main KHamushi ke nagar mein muqim hun
lekin ye kaun hai jo yahan bhi sunai de

zulmat-zadon ko jada-o-manzil ki kya KHabar
tarik raston mein bhala kya sujhai de

qatre mein maujzan hai samundar hi har jagah
ab wo mujhe faraaz-e-ufuq tak rasai de

maqtal mein kaise chhoD ke rahen badal gaya
yarab kisi sanam ko na aisi KHudai de


Source: Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 5) Edition : 2002 Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 5)

Leave a comment

+