Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farah Shahid

  • Ghazal


mohabbaton mein mujhe to udas rahne de


mohabbatoñ meñ mujhe to udaas rahne de
jo kuchh nahīñ hai to yādoñ ke paas rahne de

vo jis jagah bhī hai merā hai bas vo merā hai
ye mere dil meñ ḳhudāyā qayās rahne de

maiñ tere dar kī huuñ bāñdī sambhāl kar rakhnā
ki dar se duur na karnā tū paas rahne de

maiñ us kī pyaas ko samjhī huuñ us kī āñkhoñ se
vo kaash aise hī apnī ye pyaas rahne de

mohabbaton mein mujhe to udas rahne de
jo kuchh nahin hai to yaadon ke pas rahne de

wo jis jagah bhi hai mera hai bas wo mera hai
ye mere dil mein KHudaya qayas rahne de

main tere dar ki hun bandi sambhaal kar rakhna
ki dar se dur na karna tu pas rahne de

main us ki pyas ko samjhi hun us ki aankhon se
wo kash aise hi apni ye pyas rahne de


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 393) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+