Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


nala jo bulbul-e-tafsida-jigar ka nikla


naala jo bulbul-e-tafsīda-jigar kā niklā
vo sabā zulm-rasīda gul-e-tar kā niklā

sub.h dam ghar se jo TukḌā vo qamar kā niklā
kāñptā sharq se ḳhurshīd-e-sahar kā niklā

bhūlā kahte nahīñ us ko ye masal hai mash.hūr
shaam ko aa.e agar koī sahar kā niklā

jaan chorī ga.ī nuqsān huā dil ke sabab
dosh diije kise ye bhedī to ghar kā niklā

ek ko ek na aatā thā nazar hosh the ġham
bazm meñ shab ko jo zikr us kī kamar kā niklā

abr-e-tar ho gayā bas sunte hī paanī paanī
kuchh fasāna jo mire dīda-e-tar kā niklā

saath aġhyāroñ ko le le ke phire kaun bhalā
ye sirā pahle kidhar se kaho shar kā niklā

teġh-e-qātil kī zabāñ chāñTe hai saan aaj talak
na maza dil se mire ḳhūn-e-jigar kā niklā

phir rahā Dar tujhe kis baat kā ai 'aish' batā
dil se dhaḌkā jo tire naf-o-zarar kā niklā

nala jo bulbul-e-tafsida-jigar ka nikla
wo saba zulm-rasida gul-e-tar ka nikla

subh dam ghar se jo TukDa wo qamar ka nikla
kanpta sharq se KHurshid-e-sahar ka nikla

bhula kahte nahin us ko ye masal hai mashhur
sham ko aae agar koi sahar ka nikla

jaan chori gai nuqsan hua dil ke sabab
dosh dije kise ye bhedi to ghar ka nikla

ek ko ek na aata tha nazar hosh the gham
bazm mein shab ko jo zikr us ki kamar ka nikla

abr-e-tar ho gaya bas sunte hi pani pani
kuchh fasana jo mere dida-e-tar ka nikla

sath aghyaron ko le le ke phire kaun bhala
ye sira pahle kidhar se kaho shar ka nikla

tegh-e-qatil ki zaban chanTe hai san aaj talak
na maza dil se mere KHun-e-jigar ka nikla

phir raha Dar tujhe kis baat ka ai 'aish' bata
dil se dhaDka jo tere naf-o-zarar ka nikla


Source: Raqs-e-lamhaat

Leave a comment

+