Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibraheem Hammad

  • Ghazal


dusra ishq meri jaan nahin kar sakta


dūsrā ishq mirī jaan nahīñ kar saktā
ye tirā hāfiz-e-qur.ān nahīñ kar saktā

aisī hālat meñ tire ḳhvāb se lauTā hai ye jism
maiñ abhī vasl kā sāmān nahīñ kar saktā

dastaras meñ hai mirī kaif bhī kaifiyat bhī
zaḳhm bhar kar mujhe hairān nahīñ kar saktā

un pe ġhālib hai ka.ī chehroñ ke ishrāk kā diin
tū in āñkhoñ ko musalmān nahīñ kar saktā

pahlī qistoñ meñ tirī maut nahīñ ho saktī
apne theTar ko meñ vīrān nahīñ kar saktā

ye mirā āḳhirī patthar hai tirī yaad meñ dost
ab maiñ paanī ko pareshān nahīñ kar saktā

dusra ishq meri jaan nahin kar sakta
ye tera hafiz-e-quran nahin kar sakta

aisi haalat mein tere KHwab se lauTa hai ye jism
main abhi wasl ka saman nahin kar sakta

dastaras mein hai meri kaif bhi kaifiyat bhi
zaKHm bhar kar mujhe hairan nahin kar sakta

un pe ghaalib hai kai chehron ke ishrak ka din
tu in aankhon ko musalman nahin kar sakta

pahli qiston mein teri maut nahin ho sakti
apne theTar ko mein viran nahin kar sakta

ye mera aaKHiri patthar hai teri yaad mein dost
ab main pani ko pareshan nahin kar sakta


Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 51) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+